QURBANI KA BAYAN

SING KA MASLA-PET ME BACHCHA:


  • Jis jaanwar k paidaaishi sing na ho uski Qurbaani jaaiz hai.
  • Aur sing the magar toot gayiagar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi or sirf upar se toote haijad salaamat hai to ho jayegi.
  • Qurbaani karte waqt jaanwar uchlaa kudaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi.
  • Aur uchal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi.
  • Qurbaani ki Aur us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai.
  • Aur agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai.
  • Qurbaani ho gayi.

DUSRE SE QURBANI karwane mein Kin Cheezo Ka Khayal Rakhe :

  • Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho Aur agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de.lekin khud bhi haazir rahe Ye behtar hai.
  • Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko Bismillah Kehna WAAJIB hai.
  • Agar dono mese Ek ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padhli hogi muje padhne ki zarurat nahi In dono surton me jaanwar HALAAL na huwa.
QURBAANI zabah karne me konsi Aur kitni ragein kaatni hai:
  • Allama Mufti Amjad Ali Alayhirrahmaan Farmate hai. Jo ragein zabah me kaati jaati hain wo 4 hai.
           ✔HULQUM : Ye wo hai jisme saans aati jaati hai.
           ✔MURI :  Isse khaana paani utarta hai

  • In dono k aas paas do ragein aur hai Jo khoon ki hai. In ragon ko WA DA JAIN kehte hai zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai.
  • Matlab agar 3 bhi kat gayi jaanwar halaal ho jayega Aur agar chaaron me se har aik rag zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega or agar aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi.

QURBAANI ka Chamda/Jhol/RassiIn chizon ka kya kare :

  • Chamda/Jhol/Rassi In sab ko sadqa kar dein.
  • Chamde ko apne kaam me bhi le sakta hai.
  • Jaise Dhol Jaa-Namaaz.
  • Bichona bana sakta hai.
  • Lekin bech kar uski qeemat apne kaam me lana jaaiz nahi. Agar bech diya to us qeemat ko sadqa kar dena waajib hai.
  • Chamda madarse me dena jaaiz hai Aur agar madarse me dene ki niyyat se chamda bech kar qeemat madarse me de dein to ye bhi jaaiz hai.
  • Qurbaani ka gosht ya chamda qasaab ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori me nahi de sakte or ujrat ( badle ) me bhi nahi.

Allah hum sub ko kehne sunney se jyada amal karne ki taufeek ata farmay .

Ameen

FAZAIL E SHAB-E- QADR

SHAB- E- QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui , allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.




Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.

Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain



Muqashifatul quloob,safah 647
  • Jo shabe qadr me itni deir ibadat ke liye khada raha jitni deir me charwaha apni bakri ka doodh dooh le to wo rub ke nazdeek saal bhar roza rakhne waale se behtar hai
✔ Kya aap jaante hain,safah 367
  •  Jisne shabe qadr me khade baithe jaise bhi zikre ilaahi kiya to jibreele ameen apni poori farishton ki jamaat ke saath uske liye magfirat ki dua karte hain
✔ Anwarul hadees,safah 289
  •  Jo shabe qadr ki barqat se mahroom raha wo bada bad naseeb hai
✔ Bahare shariyat,hissa 5,safah 92
  •  Zyadatar buzurgaane deen ka qaul hai ki shabe qadr ramzan ki 27wi shab hi hai

✔ Kanzul imaan,paara 30,safah 710
✔ Tafseere azizi,paara 30,surah qadr
✔ Muqashifatul quloob,safah 649
✔ Kashful gima,jild 1,safah 214

  • Bahre kaif jo log in paancon taak raaton me yaani 21,23,25,27,29 ko raat bhar ibadate ilaahi me madroof rahte hain bila shubah wo maula ke nek bande hain maula unki ibadaton ko qubool farmaye aur apne un achchhe bando ke sadqe hum jaise badkaro ki ibaadat ko bhi qubool farmaye
  •  4 rakat namaz 2-2 karke is tarah padhen ki baad surah fatiha ke surah takasur 1 baar surah ikhlaas 3 baar,is namaz ko padhne se maut ke waqt ki sakhtiya aasaan hongi

✔ Nuzhatul majalis,jild 1,safah 129

  •  2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 7 baar salaam pherne ke baad ASTAGFIRULLAH 7 baar,isko padhne se uske waalidain par rahmat barsegi

✔ Baarah maah ke fazayal,safah 436

  •  2 rakat namaz baad surah fatiha ke surah ikhlaas 3 baar,is namaz ka sawab tamam musalmano ko bakhshen aur apne liye magfirat ki dua karen to maula taala use bakhsh dega
✔ Muqashifatul quloob,safah 650
  • Yaad rahe ki jab tak farz zimme par baaqi ho koi bhi nafl ibadat maslan namaz roza wazayaf qubool nahin kiya jaata,

Qarze namaz ka utaarna farze azeem hai ab agar namaze qaza hain to pahle unhe padhein, Hukm yahan tak hai ki asr aur Isha ki pahli sunnat ki jagah aur tamam panj waqta nawafil ki jagah apni qaza namaze padhen, jinki bahut zyada namazen qaza ho usko aasani se ada karne ke liye Ek din ki 20 raqat namaz padhni hogi paancho waqt ki farz aur isha ki witr -

Namaz Ka Tareeka
  •  Niyat yun karen "sab me pahli wo fajr jo mujhse qaza huyi "ALLAHU AKBAR" kahkar niyat baandh lein,yunhi fajr ki jagah zuhar asr magrib isha witr sirf namazo ka naam badalta rahe
  • Qayaam me sana chhod de aur bismillah se shuru kare, baad surah fatiha ke koi surah milakar ruke rake aur ruku ki tasbih sirf 1 baar padhe phir yunhi sajdo me bhi 1 baar hi tasbih padhe is tarah do raqat par qaydah karne ke baad zuhar asr magrib aur isha ki 3ri aur 4thi rakat ke qayaam me sirf 3 baar subhaan allah kahe aur ruku kare aakhri qayde me
  • Attahyat ke baad duroode ibraheem aur duae maasurah ki jagah sirf ALLAHUMMA SALLE ALA SAYYEDENA MUHAMMADIW WA AALEHI kahkar salaam pher dein,
  • Vitr ki teeno rakat me surah milegi magar duae qunoot ki jagah sirf ALLAHUMMAG FIRLI kah lena kaafi hai

✔ Almalfooz,hissa 1,safah 62

  • Agar aapne qazaye umri padhi to insha ALLAH taala aapke zimme se aapki namaz bhi ada ho jayegi aur aapko un nafl namazo ki fazilat bhi mil jayegi

ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.

Ameen

Roze Ke Masail

AHAADEES FAZAILE RAMZAAN :

Hadees - Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”  (BUKHARI & MUSLIM SHARIF)

Hadees - Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate haiN. (NASAI SHARIF)

Hadees - Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain. (BUKHARI)

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge. (BUKHARI,Muslim SHARIF)

Hadees - Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain Agar kisine ek din nafl Rozah rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawaab poora na hoga. Uska Sawaab to qayaamat hi ke din milenge. (TIBRANI)

Hadees - Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasool-E -Akram Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne farmaya “Har cheez ke liye zakaat hai aur badan ki zakaat Rozah hai aur Rozah Aadha sabr hai. (Ibne Majah)

Hadees- Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho. (Ibne Khuzaima)

Hadees - Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-e-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “ Ramzaan ki Raat Mein Qayaam (Namaaz padhna)Tato’o( Sunnat hai) Jo Isme NEki ka koi kaam kare to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye. (Baihaqi)


MASAIL – E -FIQHIYYA
Rozah bhi Misl Namaaz Ke(namaaz ki Tarah) farze a’in hai – Iski Farziyat ka munkir kaafir aur bila uzr tark karne wala sakht gunehgaar aur dozakh ka mustaheeq (Haqdaar) hai . Jo bachche Rozah rakh sakte ho unko rakhaya jaaye.

ROZE KE TAARIF
Rozah Urfe shara’a Mein musalmaan ka ibaadat ki Niyyat se subah saadiq se Gurub – E – Aaftaab tak apne ko jaan bujhkar khaane peene aur jima’a(HumBistari) se baaz rakhne ko kehte hain.

Roze Ki Niyyat Ke Masail :


Masla - Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra ( Shuru Zawaal ) Tak hai.

Masla - Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah na hua.

Masla - Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.

Masla - Agar raat Mein Niyyat kare to , yu kahe “…………………………..Arbi Dua…………………..” aur din Mein Niyyat kare to ye kahe “………………………Arbi  Dua…………………………….

Masla - Raat Mein Niyyat ki phir uske  baad raat hi Mein khaaya, piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir Niyyat karne zaroori Nahin.

Masla - Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua.

Masla - Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar subah sadiq ke fauran baad Qasdan(Jaan Bujhkar) khaya, piya uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha  pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.

Masla - Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todhne waali cheez na kare
Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah Saheeh hai.

Masla - Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.

Masla - Sehri khaana bhi  Niyyat hai khaah(chaahe) ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye.

Masla - Sehri khaate waqt ye irada hai k subah ko Rozah na hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin.

Masla - Adae Ramzaan aur nazrein mo’aiyyan aur Nafl ke alawa baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski qaza)inn sab Mein ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat Mein Niyyat karna zaroori hai.

Masla- Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.
a.) Adae Ramzaan.
b.) Nazrein Mo’Aiyyan.
c.) Nafli Roze
Inke Alawa Jitne roze hain maslan – Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah na hua.

Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta : -
 
Masla- Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Rozah na toota chaahe wo Rozah Nafl ho ya farz.

Masla- Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate – peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hua.

Masla- Makkhi ya Dhua ya Gubaar halaq Mein jaane se Rozah Nahin tootta.

Masla-Tel ya surma lagaaya to Rozah na toota agarche tel ya surma halaq Mein Meinhsoos hota ho balke thook Mein surma ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin toota.

Masla- Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Meinhsoos huyi, Rozah Nahin toota.

Masla- Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Rozah Nahin toota.

Masla- Kaan Mein paani chala gaya, Rozah Nahin toota.

Masla- Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl lag gaya phir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche chand baar kiya ho, Rozah Na toota.

Masla- daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha Magar Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utra Magar Itna Kam Tha K Halaq Mein Mazah Meinhsoos Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.

Masla-Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah Nahin toota.

Masla -Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran  luqma phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya , Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton  Mein Rozah jaata raha.

Masla - Ehtlaam(Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah na gaya Agarche  Geebat bahut sakht kabeera hai.
Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12) aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut Sakt) hai Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati rehti hai.

Masla Janaabat (Napaaki) ki haalat Mein Subha ki Agar saare din Naapak raha , Rozah na gaya magar itni der tak Qasdan Gusl na karna K Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai. Hadees Mein hai K Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.

Masla Daanton Mein koi Cheez Chane  se kam thi aur use Nigal gaya , Rozah na toota.

Masla Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono Surton Mein Rozah na tootega.

Masla Aankhon Mein dawa daalne se Rozah Nahin tootta.

Masla - Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Rozah Nahin tootta isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahin tootta.

Masla Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na tootega.
Masla Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada, Rozah na toota.

Masla Khud-bakhud Ulti huyi phir use  Nigal gaya to agar munh bhar na ho, Rozah na gaya.

Masla Balgum ki Qai kitni hi ho use Rozah Nahin tootega.

Masla Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to Rozah na gaya.

Masla Roze ki haalat Mein itr lagaya ya usko soonga ya phool soonga  ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya sar ya badan ke kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Rozah na gaya.

Masla Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya Ya aur kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Rozah na gaya.

Masla Aansu ya Paseena munh Mein chala gaya aur use nigal gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Rozah na toota.

Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan :


Masla – Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai.

Masla Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai.

Masla Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.

Masla – Shakar(Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul  jaati hai, Munh Mein  rakhi aur Thook nigal gaya, Rozah toot gaya.

Masla Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot gaya.

Masla Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua,Rozah toot gaya.

Masla Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Rozah toot gaya.

Masla- Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Rozah Toot Gaya.

Masla Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai(Fatawae Razwiya).

Masla – Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya, Rozah toot gaya.

Masla Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Rozah toot gaya.

Masla Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot gaya.

Masla Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot gaya.

Masla Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Rozah Toot Gaya.

Masla Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah na hua.

Masla Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua.
Masla Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.

Masla Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah toot jaata hai.

Masla Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya.

Masla Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya.

Masla Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega.

Masla Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.

Unn Surton Ka Bayaan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai
Masla  - Ye Gumaan Tha K Subah Nahin Huyi Aur Khaaya ya Piya Ya HumBistari Ki Baad Ko Maloom Hua K Subah Ho Chuki Thi To Sirf Qazaa Laazim Hai Yaani Iss Roze Ke Badle Mein 1 Rozah Rakhna Hoga.

Masla- Bhoolkar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki Ya Ehtlaam(Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Mein Ye Gumaan Kiya K Rozah Toot Gaya Ab Jaan Bujhkar Kha Liya To Sirf Qazaa Farz Hai.

Masla- Kaan Mein Tel Tapkaya Ya Naak Se Dawa Chadhayi Ya Subah Ko Niyyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawaal Se Pehle Niyyat Ki Aur Niyyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Mein Sirf Qazaa Laazim Hai Kaffara Nahin.

Masla- Guroob Samajhkar Iftaar Kar Litya Haalaki Din Baaki Tha Sirf Qaza Laazim Hai.

Masla- Naabaalig Bachche Ne Rozah Rakhkar Todh Diya To Uspar Qaza Nahin.

Masla- Qai (Ulti) Aayi Ya Bhoolkar Khaya Piya Aur Inn Sab Surton Mein Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Nahin(Qazaa Zaroori Hai).

Unn Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai :


Masla-Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.

Masla- Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim Nahin.

Masla- Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega.

Masla-Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai.

Masla-Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.

Masla- Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai.

Masla- Bhoolkar Kha Raha Tha Yaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai.

Masla- Ehtlaam(Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai.

Masla- Ramzaan Ka Rozah Qasdan(Jaanbujhkar)Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai.

Kaffara Ka Bayaan
Rozah Todhne ka Kaffara ye hai k Ek Raqba (Loundi ya Gulaam) Aazaad kare aur ye na ho sake jaise iss Zamaane Mein Gulaam milte hi Nahin to lagaataar (pe dar pe) 60 Roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 Miskeeno ko Bhar-Bhar pet Dono waqt Khana Khilaaye aur Roze rakhne ki soorat Mein agar Beech Mein Ek Din ka Rozah Bhi choot gaya to Ab se 60 Roze Rakhe pehle ki Ginti Nahin, 59 rakh chuka tha aur 60’va na rakh saka , Bimaari wagairah kisi Uzr se to phir se 60 Roze Poore lagaatar rakhe. Pehle Roze Shumaar na honge Albatta Aurat ko agar Haiz ki Wajah se jitne Naaga(Gap) hue Ye Nahin Geene jaayenge yaani pehle ke Roze aur Haiz ke baadwale Roze Dono Milkar 60 ho jaane se Kaffara Adaa ho Jaayega.

Kaffara Laazim Hone Ki Shartein
Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Hone Ki Chand Shartein Hai Jab Ye Sab Paayi Jaayengi Tab Kaffara Laazim Hoga Warna Nahin.
1)Ramzaan Ke Mahine Mein Ramzaan Ka Rozah Adaa Karne Ki Niyyat SE Rozah Rakha Ho
2)Rozah daar Muqim Ho  Musaafir Nahin
3)Mukallaf(Aaqil-o-Baalig) Ho To Agar Bachche Ya Paagal Ne Todha To Kaffara Nahin
4)Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho  To Agar Din Mein Niyyat Ki Phir Use Todh DiYA To Kaffara Nahin
5) Rozah Todhne ke baad koi aise Amr na Waaqey hua ho jo Roze ki Munafi (Khilaaf)Ho jaise Aurat ko Haiz wa Nifaas Aa gaya ho, ya Rozah Todhne ke baad itna Bimaar ho gaya ho k use Rozah na Rakhne ki Ijaazat ho to Kaffara Laazim na hoga.

Roze ke makhroohat ke bayaan

Hadees- hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne farmaya “ JO BOORI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa NAHIN ChhOdhE TO  ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin K Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai. (BUKHARI ,TIRMIZI SHARIF).

Hadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t‘aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad farmaya “rozah Uska naam Nahin k khaane peene se baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda baaton se bacha jaaye(haakim).

Masla: Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat kisi ko takleef dena k ye cheezein waise bhi na jaayez -o-haraam hain roze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Mein karahat Aati hai.

Masla: Rozahdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.

Masla:chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam wa zyaada hoga to naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.

Masla: chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega . balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara  bhi LazIm hoga.

Masla: chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega.

Masla: T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi makhrooh hota hai.

Masla: gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.

Masla: Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.

Masla: roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot gaya.

Masla: rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le.

Masla: thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh Nahin.

Masla: munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai.

Sehri wa iftaar ka Bayaan :


Hadees: hazrate anas  Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor-e- aqdas sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya “SEHRI KHAO K SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.(bukhari&muslim )

Hadees: hazrat Abdullah ibneumar Radiyallahu t’aal anhuma se Riwayat hai k huzoore akram sallallaahu T’aala alaihi wasallam Ne farmaya “ALLAH AUR USKE FARISHTE SEHRI KHAANE WAALON PAR DU       ROOD BHEJTE HAIN (TIBRANI).

Hadees: hazrat abu saeed khudri Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya sehri kul ki kul barkat hai use na  chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele kyun ki sehri khaane waalon par allah aur uske farishte durood bhejte hain.(musnad imam ahmed bin hambal)
Hadees – hazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu T’aala anhu Se Riwayat Hai K Huzoor E Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya HaMesha Log Khair K Sath Raheinge Jab Tak Iftaar Mein Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif).

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat Hai K Huzoor sallalLaahu T’aala Alaihi wasallam Ne Farmaya K Allah T’aala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe Zyaada Pyaara Woh Hai Jo Iftaar Mein Jaldi Karta Hai. (Tirmizi).

Hadees-  Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Tumme Se Koi Rozah Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare K Woh Barkat Hai Agar Woh Na Mile To Paani Se K Woh Paak Karne Wala Hai. (Abu Dawood, Tirmizi Sharif).

Hadees- Huzoore-E-Aqdas SallalLahu T’aala Alaihi Wasallam Iftaar ke waqt Ye Dua Padhte Arbi Dua (Abu Dawood).

Masla- Sehri Khana Aur Usme Taakhir Karna Mustahab Hai Magar Itni Taakhir Makrooh Hai k Subah Ka Shak Ho Jaaye.

Masla- Iftaar Mein Jaldi Karna Mustahab Hai Magar Iftaar Uss Waqt Kare K Gurub Ka Gaalib Gumaan Ho Jab Tak Gumaan Gaalib Na Ho Iftaar Na Kare Agarche Mu-azzin Ne Azaan Keh Di Hai Aur Baadal Ke Dino Mein Iftaar Mein Jaldi Na Kare.

Masla- Baaz Log Fajr Ki Azaan Tak Sehri Khaate Rehte Hai Unka Roza Nahin Hota.

Masla- Subah Saadiq Tak SEHRI Kha Sakte HaiN Magar Ehtiyaatan 5 Minute Pehle Khaana Pina Mauqoof Kar Dena Behtar Hai.

Masla- Kisi Bhi Roze Ke liye Sehri Shart Nahin  Ye Jo Awaam Mein Mashoor Hai k Nafli Roze Ke Liye Sehri Zaroori Hai Iski Koi Asl Nahi Balke Bagair  Sehri Bhi Ye Roze Ho Jaayenge.

Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai

Masla- Safar Wa Hamal(Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin.

Masla-Safar  Se Muraad Safar-e-Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.

Masla- Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga.

Masla- Hamal wali(pregnancy)Aurat KO Apni  Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat  Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe.

Masla-Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe.

Masla- Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham(khyaal) Kaafi Nahin.

Masla- Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega To Kaffara Laazim Aayega.

Masla- Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.
Hadees Mein Farmaya Jispar Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe).

Masla- Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar.

Roze Ke Fidya Ke Masail :


Masla- Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat).

Masla- Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota JAayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

Masla- Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.

Masla- Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.

Agar aapke koi sawalat ho rozey ke mutallik to barai karam use poochey.. 

 Allah tabarak watalla humsab ko roze rakhney aur uski sunnato per amal karne ki taofeek ata farmay

Ameen